Quran Rasoole Paak Sipara Ali Ali

Quran Rasoole Paak Sipara Ali Ali

Kalaam of Rafiuddin Sharfi Sahab

Quran Rasoole Paak Sipara Ali Ali
Maan Ayesha Ne Raaz Ye Khola Ali Ali.

Aaqa Ki Tarha Gesuon Waala Ali Ali
Yousuf Ke Jaise Chashme Ghizala Ali Ali.

Deene Mubeen Tujhpe Lutaaya Ali Ali
Aulaad Jaisa Apna Asaasa Ali Ali.

Japte Hain Jo Bhi Aapki Maala Ali Ali
Mushkil Se Unko Rab Ne Nikala Ali Ali.

Hukme Rasool Hogaya Ye Bhi Hai Bandagi
Takne Lage Hain Tumko Sahaba Ali Ali.

Koofe Ko Chord Aap Najaf Ko Basa Diye
Bharath Banaye Ham Bhi Thikana Ali Ali.

Dammi -O- Lahmi Kehne Se Tasdeeq Hogayi
Toofan Koi Bhi Ho Kinara Ali Ali.

Sau Oonth Ke Liye Hi The Nikle Bila Shubah
Par Tum Se Darrahe The Suraqa Ali Ali.

Mai Panjatan Ke Paanch Se Poocha To Ye Suna
Aankhon Ka Noor Dil Ka Ujala Ali Ali.

Munh Ho Hamara Aur Zabaan Ghair Ki Rahe
Ye Chaahta Hai Hamse Zamana Ali Ali.

Dil Ka Sukoon Saife Deen Farmaye Hain Rafi
Hasnain Paak Fatima Zahra Ali Ali.

Ham Jinka Naam Lete Hain Saqlain Me Rafi
Aaqa Ke Baad Sab Se Ziyada Ali Ali.

More from Manqabat -E- Maula -E- Kayenath A.S

More kalaam of Rafiuddin Sharfi Sahab

  • Ab Lagan Sirf Ali Hain Ya Ali Ke Bete
  • Ajmer Chal Ke Dekho Rutba Ali Ke Ghar Ka
  • Ahle Nazar Ki Aankh Ka Taara Ali Ali
  • Ali Ali Ho Ali Ali Ho
  • Ali Ke Chahne Waale  Ali Ka Wasf Paida Kar
  • Ali Nu Yaad Karo Ral Ke Fariyaad Karo