Maza Jab Hai Ke Apni Yoon Basar Ho

Maza Jab Hai Ke Apni Yoon Basar Ho

Kalaam of Qamar Jalalvi Sahab

Maza Jab Hai Ke Apni Yoon Basar Ho
Haram Me Shaam Taiba Me Sahar Ho.

Ibadath Ho To Itni Mo'tabar Ho
Ke Mera Sar Nabi Ka Sange Dar Ho.

Koi Tareef Uski Kya Karega
Khuda Ka Jo Ke Manzoore Nazar Ho.

Dare Aaqa Pe Aise Jaan Nikle
Zubaan Par Naam Gumbad Par Nazar Ho.

Udhar Kaaba Idhar Kaabe Ka Kaaba
Bata Waaiz Mera Sajda Kidhar Ho.

Meri Aahon Me Ya Rab Ye Asar Ho
Yahan Tadpun Madine Me Khabar Ho.

Qamar Yoon To Nabi Saare Qamar Hain
Magar Jo Saahibe Shaqqul Qamar Ho.

More from Naat -E- Shareef

More kalaam of Qamar Jalalvi Sahab

  • Aaj Ashk Mere Naat Sunayein To Ajab Kya
  • Aouj Paana Mere Huzoor Ka Hai
  • Aaj Sik Mitran Di Wadheriye
  • Aankhon Ka Taara Naame Muhammad
  • Aansu Meri Aankhon Me Nahi Aaye Hue Hain
  • Aap Sa Dono Jahan Me Nazar Aaya Hi Nahi