Haqeeqi Ali Ka Nazara Ali Hai
Haqeeqi Ali Ka Nazara Ali Hai
Kalaam of Hazrath Ghousi Shah R.a
Haqeeqi Ali Ka Nazara Ali Hai
Rasoole Khuda Ka Sarapa Ali Hain.
Muhammad Ki Aankhon Ka Taara Ali Hai
Khuda Ki Nigahon Me Aala Ali Hain.
Wo Doshe Muhammad Ne Rutba Badhaya
Ke Ye Arshe Aazam Se Aala Ali Hain.
Khuda Bhi Hai Maula Ali Bhi Hai Maula
Magar Jiske Haq Me Ye Maula Ali Hain.
Rahein Unki Sargoshiyan Khaas Haq Se
Wo Ham Raaze Haq Noor Haq Ka Ali Hain.
Wali Aaj Banta Hai Unki Nazar Se
Wo Noore Muhammad Ka Jalwa Ali Hain.
Ghulamane Ahmad Ke Mushkil Kusha Hai
Musibat Zadon Ka Sahara Ali Hain.
Khuda Aur Muhammad Ali Me Hain Ghousi
Mere Haq Me Kya Jaane Kya Kya Ali Hain.