Inteha Par Jab Pohonchti Hai Wilaa -E- Buturaab
Inteha Par Jab Pohonchti Hai Wilaa -E- Buturaab
Kalaam of Naseer Uddin Bismil Sahab
Inteha Par Jab Pohonchti Hai Wilaa -E- Buturaab
Dil Ki Har Dhadkan Me Aati Hai Sada -E- Buturaab.
Ya Muhammad Hai Ye Midhath Aapke Mehboob Ki
Hon Ataa Alfaaz Shayaane Sana -E- Buturaab.
Ye Wo Daulat Hai Jo Maqtas Hai Isi Ke Waaste
Fitrate Momin Me Dakhil Hai Wilaa -E- Buturaab.
Mushkilon Me Aazma Kar Hamne Dekha Baarha
Kaam Jab Koi Na Aaya Kaam Aaye Buturaab.
Razme Khaibar Me Ye Khud Qudrath Ne Sabit Kardiya
Quwwate Baazu -E- Ahmed Banke Aaye Buturaab.
Isse Badh Kar Aur Kya Ho Saaf Irshade Rasool
Wo Nahi Mera Na Ho Jisko Wilaa -E- Buturaab.
Ye Bhi Un Sab Ke Hain Maula Jinke Maula Hain Nabi
Ab Samajh Lije Kahan Pohonche Hain Paaye Buturaab.
Zindagi Me Qabr Me Hangaame Pursish Hashr Me
Kaam Har Manzil Me Aati Hai Wilaa -E- Buturaab.
Sab Ko Haasil Ho Nahi Sakta Wilayath Ka Maqaam
Sabki Qismat Me Kahan Hai Khaake Paaye Buturaab.
Jab Muhammad Ko Huwi Mehboobe Haq Ki Justju
Ham Ta'ahi Ke Liye Tashreef Laaye Buturaab.
Qaul Ye Mera Nahi Bismil Hai Irshade Rasool
Ho Kahan Dil Me Munafiq Ke Wilaa -E- Buturaab.