Ghouse Ka Shamiyana Salamath Rahe

Ghouse Ka Shamiyana Salamath Rahe

Ghouse Ka Shamiyana Salamath Rahe
Qadri Aastana Salamath Rahe.

Pal Rahen Hai Jahan Se Ye Dono Jahan
Wo Saqi Aastana Salamath Rahe.

Sar Kata Ke Bachaya Hai Islam Ko pe
Sayyada Ka Gharana Salamath Rahe.

Aagaya Aagaya Jashne Ghousul Wara
Mausame Aashiqana Salamath Rahe.

Shehre Baghdad Me Auliya Aagaye
Urse Ghouse Zamana Salamath Rahe.

Langare Ghousiya Yoon Hi Chalta Rahe
Ghouse Ka Ye Khilana Salamath Rahe.

Ahle Sunnat Ka Markaz Hai Marehra
Sunniyon Ka Thikana Salamath Rahe.

Mai Rahun Na Rahun Iss Jahan Me Magar
Peero Murshid Hamara Salamath Rahe.

Neela Gumbad Ujagar Mere Ghouse Ka
Hashr Tak Jagmagana Salamath Rahe.