Zamane Me Ali Jaisa Sahara Ho Nahi Sakta
Zamane Me Ali Jaisa Sahara Ho Nahi Sakta
Zamane Me Ali Jaisa Sahara Ho Nahi Sakta
Ali Mushkil Kusha Jaisa Sahara Ho Nahi Sakta.
Sukooone Qalb Hi To Dar Asal Zikre Ali Se Hai
Bajuz Ishqe Ali Ke Dil Niraala Ho Nahi Sakta.
Dare Haidar Se Sab Bande Wafayein Leke Jaate Hain
Dare Haidar Ke Jaisa Aur Nazara Ho Nahi Sakta.
Ali Ibne Abu Talib Khuda Ka Noor Hai Logon
Khuda Ka Noor Phir Se Ye Dobara Ho Nahi Sakta.
Munafiq Ko Sahaba Dekh Kar Ye Kehte Jaate The
Ali Se Bughz Hai To Tu Hamara Ho Nahi Sakta.
Ali Shere Khuda Se Hi Hamari Jaan Hai Logon
Ali Ko Chord Kar Jeena Hamara Ho Nahi Sakta.
Ali Ne Doobte Suraj Ko Waapar Karliya Bismil
Meri Qismat Ka Kyun Raushan Sharara Ho Nahi Sakta.