Saari Daulat Khuda Ki Madine Me Hai

Saari Daulat Khuda Ki Madine Me Hai

Ya Khuda Jism Me Jab Tak Ye Mere Jaan Rahe
Tujhpe Sadqe Tere Mehboob Pe Qurban Rahe
Kuch Rahe Ya Na Rahe Par Ye Dua Hai Ke Ameer
Naza Ke Waqt Salamath Mera Imaan Rahe.

Ya Muhammad Tere Jalwon Me Wo Ranaayi Hai
Dekhne Par Bhi Meri Aankh Tamannayi Hai
Hai Khuda Wand Kareem Aur Muhammad Bhi Kareem
Do Kareemon Me Gunahgaar Ki Ban Aayi Hai.

Bigdi Hui Banti Hai Har Baat Madine Me
Ghamkhwar Muhammad Ki Hai Zaat Madine me
----------

Saari Daulat Khuda Ki Madine Me Hai
Taajdare Zamana Madine Me Hai
Jinki Khaatir Banaye Gaye Do Jahan
Wo Rasoole Yagana Madine Me Hai.

Tujhko Waaiz Mubarak Haram Ki Faza
Mai Mukhalif Nahi Hoon Tere Zauq Ka
Par Yahan Mera Sajda Ho Kaise Adaa
Yaar Ka Aastana Madine Me Hai.

Aaftabe Do Aalam Madine Me Hai
Aamena Ka Dulara Madine Me Hai
Husn Poore Ka Poora Madine Me Hai
Ishq Saare Ka Saara Madine Me Hai.

Ghamzadon Gham Ke Maaron Madine Chalo
Bekason Be Saharon Madine Chalo
Utho Aye Dil Figaaron Madine Chalo
Rehmaton Ka Khazana Madine Me Hai.

Hai Madine Me Jalwa -E- Noore Khuda
Hai Khuda Bhi Wahin Ek Jalwa To Kya
Usko Dozakh Se Kya Kaam Jiska Hua
Jo Ghadi Bhi Thikana Madine Me Hai.

More from Naat -E- Shareef

  • Aaj Ashk Mere Naat Sunayein To Ajab Kya
  • Aouj Paana Mere Huzoor Ka Hai
  • Aaj Sik Mitran Di Wadheriye
  • Aankhon Ka Taara Naame Muhammad
  • Aansu Meri Aankhon Me Nahi Aaye Hue Hain
  • Aap Sa Dono Jahan Me Nazar Aaya Hi Nahi