Milad Ki Ratiya Dhoom Ye Thi
Milad Ki Ratiya Dhoom Ye Thi
Milad Ki Ratiya Dhoom Ye Thi
Ek Raaj Dulara Aawat Hai
Lau Laak Ka Sehra Sar Sohad
Wo Ahmed Pyaara Aawat Hai.
Yaseen Ki Chamak Hai Dantan Me
Taha Ka Karishma Aankhan Me
Wal Fajr Ka Jalwa Galan Par
Wo Rab Ka Sawara Aawat Hai.
Huroon Ne Pukara Bismillah
Ghilmaan Ne Pukara Illallah
Khud Rab Ne Kaha MashaAllah
Mehboob Hamara Aawat Hai.
Jibreele Ameen Ye Kehte Chale
Aye Farshiyon Tumre Bhaag Jage
Tazeem Ko Sab Hojaao Khade
Sardaar Hamara Aawat Hai.
Gira...
Charagh Bazm Ke Sab Jagmagane Waale Hain
Adab Se Thairiye Sarkar Aane Waale Hain.
Mazagh Ka Kajra Nain Bhare
Wa Shams Ka Bhatna Mukh Pe Maley
Hai Meem Ka Ghoonghat Sehre Tale
Wo Arsh Ka Taara Aawat Hai.
Gira...
Koi Mere Mehboob Sa Duniya Me Nahi Hai
Baitha Hai Chataayi Pe Magar Arsh Nasheen Hai..
Dharti Se Utha Aafaq Chadha
Mumtaz Yehi Gul Tha Har Jaa
Lo Haq Se Milke Salle Alaa
Sardaar Hamara Aawat Hai.