Nabuwwat Ka Akse Haseen Ghouse -E- Aazam
Nabuwwat Ka Akse Haseen Ghouse -E- Aazam
Nabuwwat Ka Akse Haseen Ghouse -E- Aazam
Muhammad Ba Aynul Yaqeen Ghouse -E- Aazam.
Khayaalon Me Nazron Me Sabke Dilon Me
Basad Naaz Masnad Nasheen Ghouse -E- Aazam.
Ye Surath Ye Seerath Ye Naqsha Ye Rangath
Fida Aap Par Sab Haseen Ghouse -E- Aazam.
Nigahon Ka Markaz Zamane Ka Mehwar
Ghulam Aapka Ho Kahin Ghouse -E- Aazam.
Kisi Ne Jahan Se Sada Di Aghisni
Chale Aaye Fauran Wahin Ghouse -E- Aazam.
Faqat Aap Hi Ki Ye Shaane Ataa Hai
Ke Lab Par Nahi Hai Nahin Ghouse -E- Aazam.
Kabhi Jab Hawadis Ne Ghera Hai Mujhko
Nazar Aaye Mere Qareen Ghouse -E- Aazam.
Jo Wabastagi Zaate Waala Se Thehri
Jahan Aap Ham Bhi Wahin Ghouse -E- Aazam.
Meri Zindagi Tehet -E- "Washtah Wa Ghanni"
Adu Honge Andohgeen Ghouse -E- Aazam.
Mukammal Hai Aks Aapke Naqshe Paa Ka
Mera Naqshe Lohe Jabeen Ghouse -E- Aazam.
Muqaddar Ka Mehmood Ke Aouj Dekho
Makaan Uska Dil Hai Makeen Ghouse -E- Aazam.