Aankhon Me Basgaya Hai Madina Huzoor Ka
Aankhon Me Basgaya Hai Madina Huzoor Ka
Kalaam of Abdul Sattar Niyazi Sahab
Aankhon Me Basgaya Hai Madina Huzoor Ka
Bekas Ka Aasra Hai Madina Huzoor Ka.
Phir Jaarahe Hain Ahle Muhabbath Ke Khafile
Phir Yaad Aaraha Hai Madina Huzoor Ka.
Taskeen –E- Jaan Hai Rahat –E- Dil Wajhe Imbisaat
Har Dard Ki Dawa Hai Madina Huzoor Ka.
Nabiyon Me Jaise Afzal –O- Aala Hain Mustafa
Shehron Me Badshah Hai Madina Huzoor Ka.
Hai Range Noor Jisne Diya Do Jahan Ko
Wo Noor Ka Diya Hai Madina Huzoor Ka.
Jab Se Qadam Pade Hain Risalath Ma'ab Ke
Jannat Bana Hua Hai Madina Huzoor Ka.
Khudsi Bhi Choomte Hain Adab Se Yahan Ki Khaak
Qismat Pe Jhoomta Hai Madina Huzoor Ka.
Har Zarra Zarra Apni Jagah Mahtaab Hai
Kya Jagmaga Raha Hai Madina Huzoor Ka.
Ho Naaz Kyun Na Usko Niyazi Naseeb Par
Jisko Bhi Milgaya Hai Madina Huzoor Ka.