Sartaaj -E- Peeran Qutbe Rabbani
Sartaaj -E- Peeran Qutbe Rabbani
Kalaam of Bedam Warsi Sahab
Ya Muhammad Ba Mane Be Saro Samaan Madade
Qibla -E- Deen Madade Kaaba -E- Imaan Madade.
Dastageera Maa Ghareebem Ghareebul Watani
Chashme Rehmath Ba Kusha Sooe Ghareeban Madade.
Aapse Fariyaad Hai Mehboobe Subhani Meri
Mushkilein Aasan Kije Ghouse -E- Samdani Meri.
Ishq Me Ye Aarzu Hai Shaahe Jeelani Meri
Aapka Naqshe Qadam Ho Aur Peshani Meri.
Goyam Che Kamaale To Che Ghouse -Us- Saqalaina
Mehboobe Khuda Aale Hasan Aale Hussaina.
---------------
Sartaaj -E- Peeran Qutbe Rabbani
Meeran Muhiuddin Shaikhe Zamani.
Jaane Payambar Jaanane Shabbar
Haidar Ke Dilbar Zahra Ke Jaani.
Haathon Ke Qurban Uqda Kushaayi
Sadqe Labon Par Mojiz Bayaani.
Joodo Sakha Me Lutfo Ataa Me
Hamsar Tumhara Koi Na Saani.
Aye Kaash Sunte Sarkaare Jeelan
Meri Kahani Meri Zubaani.
Girah...
Dil Ki Choti Si Ek Kahani Hai
Aap Sunlein To Meherbaani Hai.
Sher...
Aye Rashke Isaa Bedam Hai Bedam
Kije Ilaaje Darde Nihaani.