Yoon To Saare Nabi Mohtaram Hai Magar
Yoon To Saare Nabi Mohtaram Hai Magar
Kalaam of Muhammad Ali Zahoori Sahab
Yoon To Saare Nabi Mohtaram Hai Magar
Sarware Ambiya Teri Kya Baat Hai
Rehmate Do Jahan Ek Teri Zaat Hai
Aye Habeebe Khuda Teri Kya Baat Hai.
Roohe Kauno Makaan Pe Nikhaar Aagaya
Roohe Insaniyath Ko Qaraar Aagaya
Marhaba Marhaba Har Kisi Ne Kaha
Aamade Mustafa Teri Kya Baat Hai.
Hazrate Aamena Ke Dulaare Nabi
Ghamzada Ummaton Ke Sahare Nabi
Roze Mehshar Kahegi Ye Khalqe Khuda
Sab Ke Mushkil Kusha Teri Kya Baat Hai.
Chaar Soo Rehmaton Ki Ghata Chagayi
Baaghe Aalam Me Fazle Bahaar Aagayi
Dil Ka Ghuncha Khila Isme Aazam Mila
Zikre Salle Alaa Teri Kya Baat Hai.
Rehmate Do Jahan Ka Khazeena Mile
Jab Gale Se Hawaye Madina Mile
Arshiyon Ki Nida Farshiyon Ki Sada
Aye Dare Mustafa Teri Kya Baat Hai.
Aarzu Thi Jo Dil Ki Wo Poori Hui
Rauzaye Mustafa Ki Huzoori Hui
Har Jagah Pe Zahoori Zahoori Hui
Aye Nabi Ke Gada Teri Kya Baat Hai.