Zameen -O- Zamaan Tumhare Liye
Zameen -O- Zamaan Tumhare Liye
Kalaam of Ahmed Raza Khan Sahab R.a
Zameen -O- Zamaan Tumhare Liye
Makeen -O- Makaan Tumhare Liye
Chuni -O- Chunaan Tumhare Liye
Bane Do Jahan Tumhare Liye.
Dahan Me Zabaan Tumhare Liye
Badan Me Hai Jaan Tumhare Liye
Ham Aaye Yahan Tumhare Liye
Uthe Bhi Wahan Tumhare Liye.
Farishte Qidam Rasoole Hasham
Tamaame Umam Ghulame Karam
Wujood -O- Adam Hudoos -O- Qidam
Jahan Me Iyaan Tumhare Liye.
Kaleem -O- Naji Maseeh -O- Safi
Khaleel -O- Razi Rasool -O- Nabi
Ateeq -O- Wasi Ghani -O- Ali
Sana Ki Zabaan Tumhare Liye.
Isalaate Kul Imamaate Kul
Siyadaate Kul Imaraate Kul
Hukomate Kul Wilayate Kul
Khuda Ke Yahan Tumhare Liye.
Tumhari Chamak Tumhari Damak
Tumhari Jhalak Tumhari Mehek
Zameen -O- Falak Simaak -O- Samak
Me Sikka Nishaan Tumhare Liye.
Wo Kanze Nihaan Ye Noore Fishaan
Wo Kun Se Iyaan Ye Bazme Fakaan
Ye Har Tan -O- Jaan Ye Baaghe Jinaan
Ye Saara Samaan Tumhare Liye.
Zahoor -E- Nihaan Qiyaam -E- Jahan
Rukoo -E- Mihaan Sujood -E- Shahaan
Niyazein Yahan Namazein Wahan
Ye Kis Liye Haan Tumhare Liye.
Ye Shams -O- Qamar Ye Shaam -O- Sahar
Ye Barg -O- Shajar Ye Baagh -O- Samar
Ye Taigh -O- Sipar Ye Taaj -O- Kamar
Ye Hukm -E- Rawaan Tumhare Liye.
Ye Faiz Diye Wo Jood Kiye
Ke Naam Liye Zamana Jiye
Jahan Ne Liye Tumhare Diye
Ye Ikra Miyaan Tumhare Liye.
Sahabe Karam Rawana Kiye
Ke Aabe Ni'am Zamana Piye
Jo Rakhte The Ham Wo Chaak Siye
Ye Sitr -E- Badaan Tumhare Liye.
Sana Ka Nishaan Wo Noore Fishaan
Ke Mehr Wo Shaan Ba Aa Nahma Shaan
Basa Ye Kashaan Mawakibe Shaan
Ye Naamo Nishaaan Tumhare Liye.
Ataa -E- Arab Jalaaye Karab
Fuyooze Ajab Baghair Talab
Ye Rehmate Rab Hai Kiske Sabab
Ba Rabbe Jahan Tumhare Liye.
Zunoobe Fana Uyoob -E- Baha
Quloob -E- Safa Khutoob -E- Rawa
Ye Khoob Ataa Kuroob Zuda
Paye Dil -O- Jaan Tumhare Liye.
Na Jinno Bashar Ke Aato Pahar
Malaika Dar Pe Basta Kamar
Na Jubba -O- Sar Ke Qalb -O- Jigar
Hain Sajda Kunaan Tumhare Liye.
Na Roohe Ameen Na Arshe Bareen
Na Lauhe Mubeen Koi Bhi Kahin
Khabar Hi Nahi Jo Ramzein Khulein
Azal Ki Nihaan Tumhare Liye.
Jinaan Me Chaman, Chaman Me Saman
Saman Me Phaban, Phaban Me Dulhan
Saza -E- Mihan Pe Aise Minan
Ye Amn -O- Amaan Tumhare Liye.
Kamaale Mihaan Jalaale Shahaan
Jamaale Hisaan Me Tum Ho Iyaan
Ke Saare Jahan Me Roze Fakaan
Zile Aayina Saan Tumhare Liye.
Ye Toor Kuja Sipehr To Kya
Ke Arshe Ulaa Bhi Door Raha
Jihath Se Wara Wisaal Mila
Ye Rif'ate Shaan Tumhare Liye.
Kaleem -O- Naji Maseeh -O- Safi
Sabhi Se Kahi Kahin Bhi Bani
Ye Be Khabri Ke Khalq Phiri
Kahan Se Kahan Tumhare Liye.
Ba Faure Sada Sama Ye Bandha
Ye Sidrah Utha Wo Arsh Jhuka
Sufoofe Sama Ne Sajda Kiya
Hui Jo Azaan Tumhare Liye.
Ye Marhamatein Ye Kachi Matein
Na Chordein Latein Na Apni Gatein
Qusoor Karein Aur Unse Bharein
Qusoor -E- Jinaan Tumhare Liye.
Fana Badarat Baqa Babarat
Ze Har Do Jihath Ba Garde Sarat
Hai Markaziyyath Tumhari Sifath
Ke Dono Kamaan Tumhare Liye.
Ishare Se Chand Cheer Diya
Chupe Hue Khur Ko Pher Diya
Gaye Hue Din Ko Asr Kiya
Ye Taab -O- Tawaan Tumhare Liye.
Saba Wo Chale Ke Baagh Phale
Wo Phool Khile Ke Din Ho Bhale
Liwa Ke Tale Sana Me Khule
Raza Ki Zabaan Tumhare Liye.