Arshe Haq Hai Masnade Rif'ath Rasoolullah Ki
Arshe Haq Hai Masnade Rif'ath Rasoolullah Ki
Kalaam of Ahmed Raza Khan Sahab R.a
Arshe Haq Hai Masnade Rif'ath Rasoolallah Ki
Dekhni Hai Hashr Me Izzath Rasoolallah Ki.
Qabr Me Lehrayenge Ta Hashr Chashme Noor Ke
Jalwa Farma Hogi Jab Tal'at Rasoolallah Ki.
Laa Wa Rabbil Arsh Jisko Jo Mila Unse Mila
Bat'ti Hai Kaunain Me Naimath Rasoolallah Ki.
Wo Jahannam Me Gaya Jo Unse Mustaghni Hua
Hai Khaleelullah Ko Haajath Rasoolallah Ki.
Suraj Ulte Paaun Palthe Chand Ishare Se Ho Chaak
Andhe Najdi Dekhle Qudrath Rasoolallah Ki.
Tujhse Aur Jannat Se Kya Matlab Wahabi Door Ho
Ham Rasoolallah Ke Jannat Rasoolallah Ki.
Ham Bhikari Wo Kareem Unka Khuda Unse Fizoo
Aur Naa Kehna Nahi Aadath Rasoolallah Ki.
Ahle Sunnath Ka Hai Beda Paar As'haabe Rasool
Najm Hai Aur Naav Hai Itrath Rasoolallah Ki.
Khaak Hokar Ishq Me Aaram Se Sona Mila
Jaan Ki Ekseer Hai Ulfath Rasoolallah Ki.
Toot Jayeinge Gunahgaron Ke Fauran Qaid -O- Band
Hashr Ko Khuljayegi Taaqat Rasoolallah Ki.
Aye Raza Khud Saahibe Quran Hai Mad'dahe Huzoor
Tujhse Kab Mumkin Hai Phir Midhath Rasoolallah Ki.