Ya Nabi Dekha Ye Rutba Aapki Nalain

Ya Nabi Dekha Ye Rutba Aapki Nalain

Ya Nabi Dekha Ye Rutba Aapki Nalain Ka
Arsh Ne Chooma Hai Talwa Aapki Nalain Ka.

Aapki Qidmath Ka Mujhko Kaash Miljata Sharaf
Baandh thaa Haathon Se Thasma Aapki Nalain Ka.

Aapke Qadmon Ki Narmi Qalb Par Mehsoos Ki
Jab Bhi Maine Naqsh Dekha Aapki Nalain Ka.

Hashr Me Jab Log Choomein Aapka Daste Karam
Sab Se Chup Kar Loon Mai Bosa Aapki Nalain

Roze Mehshar Sar Pe Suraj Jab Sawa Neze Pe Ho
Ek Neze Par Ho Saaya Aapki Nalain Ka.

Jis Se Aage Jaayen To Jal Jayen Par Jibreel Ke
Uss Se Aage Jaana Dekha Aapki Nalain Ka.

Taaj Kyun Na Bheek Maangen Aapki Nalain Ki
Taajwar Khaate Hain Sadqa Aapki Nalain Ka.

More from Naat -E- Shareef

  • Aaj Ashk Mere Naat Sunayein To Ajab Kya
  • Aouj Paana Mere Huzoor Ka Hai
  • Aaj Sik Mitran Di Wadheriye
  • Aankhon Ka Taara Naame Muhammad
  • Aansu Meri Aankhon Me Nahi Aaye Hue Hain
  • Aap Sa Dono Jahan Me Nazar Aaya Hi Nahi