Tujhse Fariyaad Hai Ye Gumbade Khazra Waale
Tujhse Fariyaad Hai Ye Gumbade Khazra Waale
Tujhse Fariyaad Hai Ye Gumbade Khazra Waale
Tang Karte Hain Gulamon Ko Ye Duniya Waale.
Sakht Haajat Hai Ghulamon Ko Masihaayi Ki
Haan Zara Ek Nazar Naazish -E- Ishaan Waale.
Aa Bachale Mujhe Iss Qabr Ki Taareeki Se
Zulfe Khamdaar Ka Sadqa Shabe Asraa Waale.
Hashr Me Banda -E- Maula Ki Talab Yoon Hogi
Yaad Karte Hain Tujhe Der Se Bat'haa Waale.
Baqsh Dega Unhein Allah Baghair -E- Pursish
Jab Pukareinge Gunahgaar Ye Maula Waale
Rehm Kar Rehmate Aalam Ki Qasam Hai Tujhko
Aye Muhammad Ke Khuda Arshe Mualla Waale.
Aake Qadmon Se Lipat Jaaye Naseer -E- Aasi
Aye Rasoole Arabi Fatima Zahra Waale.