Mai Maili Tan Maila Mera Kirpa Karo Sarkar

Mai Maili Tan Maila Mera Kirpa Karo Sarkar

Kalaam of Khalid Mehmood Khalid Sahab

Mai Maili Tan Maila Mera Kirpa Karo Sarkar
Paap Ki Gathri Sar Pe Uthaye Aayi Tumre Dwaar.

Dar Dar Jaana Dhur Dhur Hona Ye Bhi Hai Apmaan
Jag Daata Ki Aas Hai Pagle Sab Ki Paalanhaar.

Mere Khoya Beech Bhanwar Me Kashti Doobi Jaaye
Tera Hoon Tu Meri Khabar Le Kaun Lagaye Paar.

Mujh Mangte Ki Baat Hi Kya Hai Wo Hain Bade Lajpaal
Unki Kirpa Aur Daya Se Palta Hai Sansaar.

Unki Ataa Ke Sab Gun Gaao Unse Hi Fariyaad Karo
Sab Se Badi Haami Hai Hamari Sab Se Badi Sarkar.

Unki Yaad Imaan Banalo Khud Ko Hi Quran Banalo
Unki Yaad Se Mitjaate Hain Saare Hi Aazaar.

Unke Karam Ki Aas Hai Mujhko Mai To Nahi Mayoos
Khud Hi Dawa Bhi Mujhko Deinge Jiska Hoon Beemar.

Kuch To Meri Aas Bandha Do Tan Man Hai Bechain
Rote Rote Rattiyan Beetein Kab Hoga Deedar.

Uske Liye To Sarmaya Hai Pyaar Madine Waale Ka
Sonchein Samjhein Kehne Waale Khalid Ko Nadaar

More from Naat -E- Shareef

More kalaam of Khalid Mehmood Khalid Sahab

  • Aaj Ashk Mere Naat Sunayein To Ajab Kya
  • Aouj Paana Mere Huzoor Ka Hai
  • Aaj Sik Mitran Di Wadheriye
  • Aankhon Ka Taara Naame Muhammad
  • Aansu Meri Aankhon Me Nahi Aaye Hue Hain
  • Aap Sa Dono Jahan Me Nazar Aaya Hi Nahi