Jahan Rauza -E- Paak -E- Khairul Wara Hai

Jahan Rauza -E- Paak -E- Khairul Wara Hai

Kalaam of Iqbal Azeem Sahab

Jahan Rauza -E- Paak -E- Khairul Wara Hai
Wo Jannat Nahi Hai To Phir Aur Kya Hai
Kahan Mai Kahan Ye Madine Ki Galiyan
Ye Qismat Nahi Hai To Phir Aur Kya Hai

Muhammad Ki Azmath Ko Kya Poochte Ho
Ke Wo Saahibe Qaaba Qausain Thehre
Bashar Ki Sare Arsh Mehman Nawaazi
Ye Azmath Nahi Hai To Phir Aur Kya Hai.

Jo Aasi Ko Kamli Me Apni Chupaale
Jo Dushman Ko Bhi Zakhm Khaakar Dua De
Use Aur Kya Naam Dega Zamana
Wo Rehmath Nahi Hai To Phir Aur Kya Hai.

Qayamath Ka Ek Din Muaiyyan Hai Lekin
Hamare Liye Har Nafas Hai Qayamat
Madine Se Ham Jaan Nisaaron Ki Doori
Qayamath Nahi Hai To Phir Aur Kya Hai.

Tum Iqbal Ye Naat Keh To Rahe Ho
Magar Ye Bhi Soncha Ke Kya Karrahe Ho
Kahan Tum Kahan Madhe Mamdooh –E- Yazdaan
Ye Jurrat Nahi Hai To Phir Aur Kya Hai.

More from Naat -E- Shareef

More kalaam of Iqbal Azeem Sahab

  • Aaj Ashk Mere Naat Sunayein To Ajab Kya
  • Aouj Paana Mere Huzoor Ka Hai
  • Aaj Sik Mitran Di Wadheriye
  • Aankhon Ka Taara Naame Muhammad
  • Aansu Meri Aankhon Me Nahi Aaye Hue Hain
  • Aap Sa Dono Jahan Me Nazar Aaya Hi Nahi