Ho Tum Maqbal -E- Maqbalaan Ghouse -E- Aazam
Ho Tum Maqbal -E- Maqbalaan Ghouse -E- Aazam
Kalaam of Naseer Uddin Bismil Sahab
Ho Tum Maqbal -E- Maqbalaan Ghouse -E- Aazam
Ho Tum Kaabaye Aashiqan Ghouse -E- Aazam.
Mujhe Fikr KYa Hogi Donon Jahan Me
Yahan Ghouse -E- Aazam Wahan Ghouse -E- Aazam.
Nahi Farq Khwaja Me Aur Ghouse Me Kuch
Ho Tum Khwaja -E- Khwajgaan Ghouse -E- Aazam.
Meri Bigdi Banjayegi Do Jahan Me
Agar Aap Farmayein Haan Ghouse -E- Aazam.
Karam Hai Ye Unka Samajhte Hain Apna
Kahan Mujhsa Aasi Kahan Ghouse -E- Aazam.
Sulaiman Wilayath Ke Aur Ghousiyath Ke
Ho Tum Khusrawe Khusrawaan Ghouse -E- Aazam.
Sabhi Bekason Khasta Haalon Ke Haq Me
Hai Baghdad Daarul Amaan Ghouse -E- Aazam.
Jo Khaake Qadam Teri Banjaaye Aaqa
Wo Mitti Kahan Rayegaan Ghouse -E- Aazam.
Na Pohonche Tere Rutba -E- Aaliya Tak
Hain Aajiz Qiyaas -O- Gumaan Ghouse -E- Aazam.
Wujood -O- Adam Ke Manazil Se Aage
Qidam Ke Ho Tum Tarjumaan Ghouse -E- Aazam.
Hai Subho Masa Tere Bismil Ke Lab Par
Tera Naam Hi Hirze Jaan Ghouse -E- Aazam.