Waah Kya Martaba Aye Ghouse Hai Baala Tera

Waah Kya Martaba Aye Ghouse Hai Baala Tera

Kalaam of Ahmed Raza Khan Sahab R.a

Waah Kya Martaba Aye Ghouse Hai Baala Tera
Ooche Oonche Ke Saron Se Qadam Aala Tera.

Sar Bhala Kya Koi Jaane Ke Hai Kaisa Tera
Auliya Malte Hain Aankhein Wo Hai Talwa Tera.

Kya Dabe Jispe Himayath Ka Ho Panja Tera
Sher Ko Khatre Me Laata Nahi Kutta Tera.

Tu Hussaini Hasani Kyun Na Mohiuddin Ho
Aye Khiza "Majma -E- Bahrain" Hai Chashma Tera.

Qasmein De Deke Khilata Hai Pilaata Hai Tujhe
Pyaara Allah Tera Chaahne Waala Tera.

Mustafa Ke Tan -E- Be Saaya Ka Saaya Dekha
Jisne Dekha Meri Jaan Jalwaye Zeba Tera.

Ibne Zahra Ko Mubarak Ho Uroose Qudrath
Quadri Paayein Tasadduq Mere Dulha Tera.

Kyun Na Qasim Ho Ke Tu Ibne Abul Qasim Hai
Kyun Na Qadir Ho Ke Muqthar Hai Baba Tera.

Nabawi Minh Alwi Fasl Batooli Gulshan
Hasani Phool Hussaini Hai Mehekna Tera.

Nabawi Zil Alawi Burj Batooli Manzil
Hasani Chand Hussaini Hai Ujaala Tera.

Nabawi Khoor Alawi Koh Batooli Ma'din
Hasani Laal Hussaini Hai Tajalla Tera.

Arze Ahwaal Ki Pyaason Me Kahan Taab Magar
Aankhein Aye Abre Karam Takti Hain Rasta Tera.

Maut Nazdeek Gunahon Ki Tumhein Mel Ki Khoul
Aa Baras Jaa Ke Naha Dho Le Ye Pyaasa Tera.

Aab Aamad Wo Kahe Aur Mai Tayammum Barkhaast
Mushte Khaak Apni Ho Noor Ka Ahla Tera.

Jaan To Jaate Hi Jaayegi Qayamat Ye Hai
Ke Yahan Marne Pe Thehra Hai Nazara Tera.

Tujhse Dar, Dar Se Sag Aur Sag Se Hai Mujhko Nisbath
Meri Gardan Me Bhi Hai Door Ka Dora Tera.

Iss Nishani Ke Jo Sag Hain Nahi Maare Jaate
Hashr Tak Mere Gale Me Rahe Patta Tera.

Meri Qismat Ki Qasam Khayein Sagaane Baghdad
Hind Me Bhi Hoon To Deta Rahun Pehra Tera.

Teri Izzath Ki Nisaar Aye Mere Ghairath Waale
Aah Sada Aah Ke Yoon Khwaar Ho Birwa Tera.

Badh Sahi Chor Sahi Mujrim -O- Nakaarah Sahi
Aye Wo Kaisa Hi Sahi Hai To Kareema Tera.

Jo Wali Qabl The Ya Baad Hue Ya Honge
Sab Adab Rakhte Hain Dil Me Mere Aaqa Tera.

Mitgaye Mit'te Hain Mit Jaayeinge Aadaa Tere
Na Mita Hai Na Mitega Kabhi Charcha Tera.

Mujhko Ruswa Bhi Agar Koi Kahega To Yunhi
Ke Wo Hi Na Wo Raza Bandaye Ruswa Tera.

Hain Raza Yoon Na Bilak Tu Nahi Jayyid To Na Ho
Sayyide Jayyide Har Dahr Hai Maula Tera.

Fakhre Aaqa Me Raza Aur Bhi Ek Nazme Rafee
Chal Likha Laayein Sana Khwanon Me Chehra Tera.

More from Manqabat -E- Bade Peer Sarkar R.A

More kalaam of Ahmed Raza Khan Sahab R.a

  • Aap Waliyon Ke Hain Sultan Dastageer
  • Aastan Hai Ye Kis Shaahe Zeeshan Ka
  • Adna Ghulamam Ya Ghouse -E- Aazam
  • Al Madad Peerane Peer
  • Allah Re Kya Bargahe Ghouse -E- Jali Hai
  • Assalam Aye Ghouse -E- Aazam Assalaam