Waarise Ambiya Moorise Auliya

Waarise Ambiya Moorise Auliya

Kalaam of Naseer Uddin Bismil Sahab

Waarise Ambiya Moorise Auliya
Ya Ali Murtaza Ya Ali Murtaza
Saahibe Zulfiqar Uspe Phir Laa Fatah
Ya Ali Murtaza Ya Ali Murtaza.

Ya Nabi Mustafa Ya Nabi Mustafa
Ya Ali Murtaza Ya Ali Murtaza
Ek Shahe Ambiya Ek Shahe Auliya
Ya Ali Murtaza Ya Ali Murtaz.

Mehware Dil Ho Tum Markaze Jaan Ho Tum
Marja -E- Deen -O- Imaan -O- Irfaan Ho Tum
Ek Chashme Inayath Baraaye Khuda
Ya Ali Murtaza Ya Ali Murtaza.

Jis Jagah Hon Tumhare Nuqooshe Qadam
Ahle Dil Ke Baneinge Wahin Par Haram
Markaze Sajda Hai Aapka Naqshe Paa
Ya Ali Murtaza Ya Ali Murtaza.

Taan Kar Apna Seena Jo Chalta Hai Wo
Aur Gir Kar Bhi Khud Hi Sambhalta Hai Wo
Wo Yaqeenan Tumhare Hai Dar Ka Gada
Ya Ali Murtaza Ya Ali Murtaza.

Uske Chehre Pe Hongi Ziya Baariyan
Leke Noore Risalath Ki Parchaiyan
Dil Me Raushan Huwi Jiske Shamme Wila
Ya Ali Murtaza Ya Ali Murtaza.

Rabt -O- Nisbath Ka Beshak Ye Faizaan Hai
Mere Maula Tumhari Badi Shaan Hai
Jab Bhi Dekha Nazar Aaye Tum Mustafa
Ya Ali Murtaza Ya Ali Murtaza.

Kaam Mushkil Kushayi Ka Haq Ne Diya
Kaam Haajat Rawayi Ka Haq Ne Diya
Tum Ho Shere Khuda Tum Ho Mushkil Kusha
Ya Ali Murtaza Ya Ali Murtaza.

Zere Saaya Tumhare Hain Jaise Yahan
Aye Shahe Auliya Aye Shahe Asfiya
Hashr Me Bhi Tumhare Hon Zere Liwa
Ya Ali Murtaza Ya Ali Murtaza.

Karbala Se Madina Kahan Door Hai
Ya Najaf Se Madina Kahan Door Hai
Kam Nigaahi Se Apni Hai Ye Faasla
Ya Ali Murtaza Ya Ali Murtaza.

Hai Azal Se Tumhare Hi Dar Ka Gada
Deraha Hai Tumhara Ye Bismil Sada
Tumpe Marna Hai Dar Asl Wirsa Mera
Ya Ali Murtaza Ya Ali Murtaza.

More from Manqabat -E- Maula -E- Kayenath A.S

More kalaam of Naseer Uddin Bismil Sahab

  • Ab Lagan Sirf Ali Hain Ya Ali Ke Bete
  • Ajmer Chal Ke Dekho Rutba Ali Ke Ghar Ka
  • Ahle Nazar Ki Aankh Ka Taara Ali Ali
  • Ali Ali Ho Ali Ali Ho
  • Ali Ke Chahne Waale  Ali Ka Wasf Paida Kar
  • Ali Nu Yaad Karo Ral Ke Fariyaad Karo