Dard -O- Aalam Ka Jis Waqt Andhera Hoga
Dard -O- Aalam Ka Jis Waqt Andhera Hoga
Kalaam of Muhammad Ali Zahoori Sahab
Dard -O- Aalam Ka Jis Waqt Andhera Hoga
Zikre Mehboobe Khuda Se Hi Sawera Hoga.
Ashk Aankhon Se Baha Rooh Ko Taskeen Mile
Unka Jo Unke Siwa Koi Na Tera Hoga.
Aye Charaghon Se Dar -O- Baam Sajaane Waale
Dil Ke Aangan Ko Saja Unka Bhi Phera Hoga.
Fikre Uqba Se Na Hoga Wo Pareshan Kabhi
Yaade Sarkar Ka Jis Dil Me Basera Hoga.
Hai Gunahgaar Zahoori Bhi Sana Khwane Rasool
Hashr Me Namaye Aamaal Ye Mera Hoga.