Khuda Ke Fazl Se Ham Par Hai Saaya

Khuda Ke Fazl Se Ham Par Hai Saaya

Khuda Ke Fazl Se Ham Par
Hai Saaya Ghouse -E- Aazam Ka
Hame Dono Jahan Me Hai
Sahara Ghouse -E- Aazam Ka.

Muhammad Ka Rasoolon Me
Hai Jaise Martaba Aala
Hai Afzal Auliya Me Yoon
Hi Rutba Ghouse -E- Aazam Ka.

Murideen Laa'Taqaf Kehkar
Tasalli Di Ghulamon Ko
Qayamath Tak Rahe Be Khauf
Banda Ghouse -E- Aazam Ka.

Farishton Rokte Kyun Ho Mujhe
Jannat Me Jaane Se
Ye Dekho Haath Me Daman
Hai Kiska Ghouse -E- Aazam Ka.

Lahad Me Jab Farishte Mujhse
Poochenge To Kehdunga
Tariqa Quadri Hoon
Naam Lewa Ghouse -E- Aazam Ka.

Azizon Kar Chuko Taiyyar
Jab Mere Janaze Ko
To Likhdena Kafan Pe
Naame Waala Ghouse -E- Aazam Ka.

Nida Dega Munadi Hashr Me
Yoon Quadriyon Ko
Kahan Hai Quadri Karlein
Nazara Ghouse -E- Aazam Ka.

Hamari Laaj Kiske Haath Hai
Baghdad Waale Ke
Musibath Taal Dena Kaam
Kiska Ghouse -E- Aazam Ka.

Suna Farmaan Khurasaan Me
Moinuddin Chishti Ne
Jhuka Kar Sar Liya Aankhon Pe
Talwa Ghouse -E- Aazam Ka.

Jameele Quadri Sau Jaan Ho
Qurban Murshid Par
Banaya Jisne Tujh Jaise Ko
Banda Ghouse -E- Aazam Ka.