Pehle Yaade Murtaza Dil Me Basa Kar Dekhna
Pehle Yaade Murtaza Dil Me Basa Kar Dekhna
Kalaam of Naseer Uddin Bismil Sahab
Pehle Yaade Murtaza Dil Me Basa Kar Dekhna
Qalb Ka Phir Apne Har Gosha Munawwar
Aastane Murtaza Par Sar Jhuka Kar Dekhna
Uske Baad Apna Urooj Apna Muqaddar Dekhna.
Ahle Nisbath Ke Liye Donon Barabar Dekhna
Noore Haidar Dekhna Noore Payambar Dekhna.
Waapsi Ke Waqt Wo Lamha Ajab Dil Soz Hai
Chalte Chalte Rauza -E- Haidar Ka Manzar Dekhna.
Ye Jamaale Murtaza Hai Toor Ka Jalwa Nahi
Har Nazar Ko Manzile Nisbath Me Laakar Dekhna.
Rusiyaahi Ek Hi Lamhe Me Hojayegi Saaf
Khaake Paaye Murtaza Chehre Pe Mal Kar Dekhna.
Kuch Se Kuch Hojaoge Ya Daar Par Chadh Jaaoge
Jalwaye Mushkil Kusha Ko Hosh Rakh Kar Dekhna.
Khud Tumhe Apna Banalegi Ye Saari Kayenaath
Dil Se Maula Ko Kabhi Apna Banakar Dekhna.
Ispe Laaya Hai Chidak Kar Garde Paaye Murtaza
Bismil -E- Aasi Ke Ye Isiyaan Ka Daftar Dekhna.