Mehboobe Khuda Ki Aamad Se Kaunain Me Zeenat
Mehboobe Khuda Ki Aamad Se Kaunain Me Zeenat
Kalaam of Betaab Nazeeri Sahab
Mehboobe Khuda Ki Aamad Se
Kaunain Me Zeenat Hoti Hai
Har Shai Ko Sajaya Jaata Hai
Aisi Bhi Wiladath Hoti Hai.
Jab Zikre Muhammad Sunta Hoon
Pur Kaif Masarrat Hoti Hai
Khamosh Nigaahon Se Unki
Be Parda Ziyarath Hoti Hai.
Mehboobe Khuda Ke Rutbe Ko
Makhlooqe Khuda Ne Dekh Liya
Jannat Ko Ishara Kaafi Hai
Baaton Me Shafa'at Hoti Hai.
Ek Toor Ki Adna Choti Tak
Ek Arshe Bareen Ki Rif'ath Par
Isko Bhi Risalath Kehte Hain
Aisi Bhi Risalath Hoti Hai.
Har Bazme Rasoole Akram Me
Betaab Ko Paaya Hai Haazir
Jab Aisa Mauqa Hota Hai
Betaab Ko Fursath Hoti Hai.