Fazle Rabbul Ulaa Ya Ali Ya Ali
Fazle Rabbul Ulaa Ya Ali Ya Ali
Kalaam of Hazrath Hameed Uddin Sharfi Sahab (Saifi)
Fazle Rabbul Ulaa Ya Ali Ya Ali
Aap Par Hogaya Ya Ali Ya Ali.
Lutfe Khairul Wara Ya Ali Ya Ali
Hai Naseeb Aapka Ya Ali Ya Ali.
Khol Kar Aankh Dekha Hai Pehle Pehel
Chehraye Mustafa Ya Ali Ya Ali.
Marhab -O- Baabe Khaibar Ne Samjha Diya
Aapka Hausla Ya Ali Ya Ali.
Muntazir Aapka Hai Ye Hijrath Ki Shab
Bistare Mustafa Ya Ali Ya Ali.
Aapko Dekhna Ek Ibadath Hai Khud
Ye Nabi Ne Kaha Ya Ali Ya Ali.
Mushkilein Munh Chupaati Hain Naam Aapka
Jab Bhi Sunlein Zara Ya Ali Ya Ali.
Saifi Japta Raha Kaam Bante Rahe
Har Ghadi Har Jagah Ya Ali Ya Ali.