Eksat'th Me Aisa Maqtale Karbo Bala Jala

Eksat'th Me Aisa Maqtale Karbo Bala Jala

Kalaam of Aouj Yaqubi

Eksat'th Me Aisa Maqtale Karbo Bala Jala
Baatil Abhi Bhi Cheekh Raha Hai Jala Jala.

Manzar Likha Na Jaa Saka Khaimo Ke Jalne Ka
Iss Aag Se Jhulas Ke Har Ek Qaafiya Jala.

Hai Muqtasar Ye Shaame Ghareeban Ki Daastan
Sham'ein Bujhi Bujhi Hain Ujala Jala Jala.

Naaze Mulookiyath Ke Jo Shole Bhadak Uthe
Kaisa Hara Bhara Chaman Islaam Ka Jala.

Gul Ro Pade Tabassum -E- Be Sheer Ki Qasam
Asghar Ka Khoon Dekhke Range Hina Jala.

Maidane Karbala Kura -E- Naar Bangaya
Jo Iski Zad Me Aaya Wo Jhulsa Gira Jala.

Chote Tamaam Jalgaye Hangaame Aar Tak
Jab Asr Tang Hone Ko Aayi Bada Jala

Sattar Pe Do Charaagh Bujhe Karbala Me Jab
Logon Khuda Ke Naam Ka Pehla Diya Jala.

Raushan Hua Hussain Mawaddat Ka Raasta
Jab Misle Sham'a Tera Har Ek Naqshe Paa Jala.

Kaabe Me Raushni Hui Khoone Hussain Se
Abbas Ke Lahoo Se Charaaghe Wafa Jala.

Kam Hone Di Na Aal Ne Maqtal Ki Raushni
Jab Ek Charagh Bujhne Laga Doosra Jala.

Jab Silsile Se Paikare Anwaar Jalgaye
Tab Jaake Laa Ilaah Ka Jahan Me Diya Jala.

Ab Tak Dhuaa Sa Uthta Hai Qasre Yazeed Se
Aatish Kade Ki Aag Se Aatish Kada Jala.

Imaan Jala Tha Aouj Samandar Me Aag Ke
Jalne Se Jab Safeena Bacha Na Khuda Jala.