Rehmate Do Aalam Ka Martaba Khuda Jaane

Rehmate Do Aalam Ka Martaba Khuda Jaane

Rehmate Do Aalam Ka Martaba Khuda Jaane
Jisme Paak Ka Saaya Kyun Na Tha Khuda Jaane.

Dil Me Dard Taiba Ka Kyun Utha Khuda Jaane
Ibteda to Acchi Hai Inteha Khuda Jaane.

Hamne To Madine Ka Naara Hi Lagaya Hai
Dushmane Nabi Ka Dil Kyun Jala Khuda Jaane.

Palkhon Ko Bichane Do Raahon Ko Sajane Do
Kis Gali Se Aajayen Mustafa Khuda Jaane.

Tazkira Madine Ka Yunhi Maine Cheda Tha
Aansuon Se Tar Daman Kyun Hua Khuda Jaane.

More from Naat -E- Shareef

  • Aaj Ashk Mere Naat Sunayein To Ajab Kya
  • Aouj Paana Mere Huzoor Ka Hai
  • Aaj Sik Mitran Di Wadheriye
  • Aankhon Ka Taara Naame Muhammad
  • Aansu Meri Aankhon Me Nahi Aaye Hue Hain
  • Aap Sa Dono Jahan Me Nazar Aaya Hi Nahi