Hota Agar Zameen Par Saaya Rasool Ka

Hota Agar Zameen Par Saaya Rasool Ka

Hota Agar Zameen Par Saaya Rasool Ka
Phir Paaun Ummati Kahan Rakhta Rasool Ka.

Padhte Hain Yoon To Ghair Bhi Kalma Rasool Ka
Jannat Use Milegi Jo Hoga Rasool Ka.

Karte Hain Ehteram Janaze Ka Isliye
Wo Jaraha Hai Dekhne Chehra Rasool Ka.

Shere Khuda Na Banta To Banta Bhi Aur Kya
Bachpan Se Hi To Tha Yehi Paala Rasool Ka.

Duniya Ko Dekhna Bhi Gawara Nahi Kiya
Jab Tak Ali Ne Dekha Na Chehra Rasool Ka.

More from Naat -E- Shareef

  • Aaj Ashk Mere Naat Sunayein To Ajab Kya
  • Aouj Paana Mere Huzoor Ka Hai
  • Aaj Sik Mitran Di Wadheriye
  • Aankhon Ka Taara Naame Muhammad
  • Aansu Meri Aankhon Me Nahi Aaye Hue Hain
  • Aap Sa Dono Jahan Me Nazar Aaya Hi Nahi