Mujh Khatakaar Sa Insaan Madine Me Rahe

Mujh Khatakaar Sa Insaan Madine Me Rahe

Kalaam of Aazam Chishti Sahab

Mujh Khatakaar Sa Insaan Madine Me Rahe
Banke Sarkar Ka Mehmaan Madine Me Rahe

Yaad Aati Hai Mujhe Ahle Madina Ki Wo Baat
Zinda Rehna Ho To Insaan Madine Me Rahe.

Allah Allah Sarfarazi -E- Sehra -E- Hijaaz
Saari Makhlooq Ka Sultan Madine Me Rahe.

Yoon Ada Karte Hain Usshaq Muhabbat Ki Namaz
Sajda Kaabe Me Ho Aur Dhyaan Madine Me Rahe.

Unki Shafqat Ghame Kaunain Bhula Deti Hai
Jitne Din Aapka Mehmaan Madine Me Rahe.

Door Rehkar Bhi Uthata Hoon Huzoori Ke Maze
Mai Yahan Aur Meri Jaan Madine Me Rahe.

Chord Aaya Hoon Dilo Jaan Ye Kehkar Aazam
Aaraha Hoon Mera Samaan Madine Me Rahe.

More from Naat -E- Shareef

More kalaam of Aazam Chishti Sahab

  • Aaj Ashk Mere Naat Sunayein To Ajab Kya
  • Aouj Paana Mere Huzoor Ka Hai
  • Aaj Sik Mitran Di Wadheriye
  • Aankhon Ka Taara Naame Muhammad
  • Aansu Meri Aankhon Me Nahi Aaye Hue Hain
  • Aap Sa Dono Jahan Me Nazar Aaya Hi Nahi