Jo Ishq Me Tere Doobe Hain
Jo Ishq Me Tere Doobe Hain
Kalaam of Bekal Utsahi Sahab
Jo Ishq Me Tere Doobe Hain
Jazbaat Ubhaara Karte Hain
Anjaame Muhabbat Ki Khaatir
Har Dard Gawara Karte Hain.
Jab Kaali Ghata Chajaati Hai
Bad Mast Hawa Lehraati Hai
Aye Gesuon Waale Ham Tujhko
Aise Me Pukara Karte Hain.
Jo Laut Ke Aaye Dar Se Tere
Unki Qismat Ka Kya Kehna
Wo Padh Ke Durood -O- Salaam Tere
Taiba Ka Nazara Karte Hain.
Rizwan Yehi Apni Jannat Hai
Ye Sar Hai Mera Dar Hai Unka
Ham In Sajdon Ke Saaye Me
Jalwon Ka Nazara Karte Hain.
Sab Charkh Ke Chand Sitaare Bhi
Pheeke Pheeke Padjaate Hain
Jab Ishq Ke Maare Gumbad Ki
Sham'on Ko Sawara Karte Hain.
Jab Shammein Farozaan Hoti Hain
Gumbad Ke Sabz Nazaron Me
Taare Sab Dooj Ke Chanda Ko
Kalse Pe Utaara Karte Hain.
Aye Baade Saba Taiba Jaakar
Shaahe Bat'ha Se Kehdena
Ham Hind Me Bekal Ho Ho Kar
Sarkar Guzaara Karte Hain.