Ye Dil Mehboobe Subhani Ke Sadqe
Ye Dil Mehboobe Subhani Ke Sadqe
Kalaam of Daagh Dehelvi Sahab
Ye Dil Mehboobe Subhani Ke Sadqe
Muhaiyyudin Jeelani Ke Sadqe.
Nisaar -E- Qubba -E- Anwar Maho Mehr
Farishte Qabre Noorani Ke Sadqe.
Tumhari Zaat Se Hai Nazme Aalam
Jahan Baani Ke Sultani Ke Sadqe.
Mere Dil Par Chale Wo Khanjar -E- Ishq
Malak Hon Jiski Qurbani Ke Sadqe.
Tumhare Lutfe Pinhaani Ke Qurban
Tumhare Faize Roohani Ke Sadqe.
Ye Dil Ho Aur Mauje Khulzam -E- Ishq
Ye Kashti Mauje Toofani Ke Sadqe.
Ye Zeba Hai Jo Hon Lauh -O- Qalam Bhi
Tumhare Isme Lasaani Ke Sadqe.
Fida -E- Shamma Parwana Ho Aye Daagh
Ham Apne Qutbe Rabbani Ke Sadqe.