Pyaas Ki Himmath Tootgayi Hai

Pyaas Ki Himmath Tootgayi Hai

Pyaas Ki Himmath Tootgayi Hai
Lekin Pyaasa Baaqi hai
Ab Bhi Uske Naam Ka Har Ek
Aankh Me Dariya Baaqi Hai.

Khanjar Teer Kamanein Bhaale
Talwarein Sab Toot Gayin
Asleh Waale Faan Hue Hain
Sirf Nihatta Baaqi Hai.

Shimr Se Har Shaami Ne Poocha
Tum Kehte The Qatl Hua
Chehra Jalwa Lehja Balke
Ye To Saara Baaqi Hai.

Chauda Sadiyan Beet Gayin Ek
Dasht Me Uska Qatl Hua
Kitne Shehr Ujaad Hue Hain
Ek Wo Sehra Baaqi Hai.

Kya Fauladi Jism Hai Uska
Kya Mazboot Iraada Hai
Sar Taa Paa Hai Paara Paara
Aur Sarapa Baaqi Hai.

Makkah, Kufa, Shehre Madina
Ghoomo Phiro Aur Phir Dekho
Arbo Arab To Pade Hain Lekin
Kiska Shijra Baaqi Hai.

Duniya Waalon Sach Pucho To
Jeet Isiko Kehte Hain
Saara Kumba Qatl Hua Aur
Saara Kumba Baaqi Hai.