Shukre Khuda Ke Aaj Ghadi Uss Safar Ki Hai
Shukre Khuda Ke Aaj Ghadi Uss Safar Ki Hai
Kalaam of Ahmed Raza Khan Sahab R.a
Shukre Khuda Ke Aaj Ghadi Uss Safar Ki Hai
Jis Par Nisaar Jaan Falaah -O- Zafar Ki Hai.
Garmi Hai Tap Hai Dard Hai Kulfat Safar Ki Hai
Na Shukr Ye To Dekh Azeemat Kidhar Ki Hai.
Kis Khaake Paak Ki Tu Bani Khaake Paa Shifa
Tujhko Qasam Janabe Maseeha Ke Sar Ki Hai.
Aabe Hayaat –E- Rooh Hai 'Zarqa Ki Boond Boond
Akseer A'azame Mase Dil Khaak Dar Ki Hai.
Hamko To Apne Saaye Me Aaram Hi Se Laaye
Heele Bahane Waalon Ko Ye Raah Dar Ki Hai.
Lut'te Hain Maare Jaate Hain Yoon Hi Suna Kiye
Har Baar Di Wo Aman Ki Ghairath Hazar Ki Hai.
Maahe Madina Apni Tajalli Ataa Karein
Ye Dhalti Chaandni To Pahar Do Pahar Ki Hai.
Lab Waan Hain Aankhein Band Hain Phaili Hai Jholiyan
Kitni Maze Ki Bheek Tere Paak Dar Ki Hai.
Man Zaar Turbati Waj Bat Lah Shafa'ati
Unpar Durood Jin Se Nawed In Bashar Ki Hai.
Unke Tufail Hajj Bhi Khuda Ne Karadiye
Asle Muraad Haazri Uss Paak Dar Ki Hai.
Kaabe Ka Naam Tak Na Liya Taiba Hi Kaha
Pucha Tha Hamse Jisne Ki Nuzhat Kidhar Ki Hai.
Kaaba Bhi Hai Unhi Ki Tajalli Ka Ek Zill
Raushan Unhi Se Aks Se Putli Hajar Ki Hai.
Hote Kahan Khaleel -O- Bina Kaaba Wo Mina
Laulaak Waale Sahibi Sab Tere Ghar Ki Hai.
Maula Ali Ne Waari Teri Neend Par Namaz
Aur Wo Bhi Asr Sab Se Jo Aala Khatar Ki Hai.
Siddiq Balke Ghaar Me Jaan Uspe De Chuke
Aur Hifze Jaan To Jaan Furoz -E- Gurar Ki Hai.
Haan Tu Ne Unko Jaan Unhein Pher Di Namaz
Par Wo To Karchuke The Jo Karni Bashar Ki Hai.
Mujrim Bulaye Aayein Hai "Jaooka" Hai Gawah
Phir Rad Ho Kab Ye Shaan Kareemon Ke Dar Ki Hai.
Bad Hain Magar Unhi Ke Hain Baaghi Nahi Hain Ham
Najdi Na Aaye Usko Ye Manzil Khatar Ki Hai.
Uff Najdiyath Na Kufr Na Islam Sab Pe Harf
Kafir Idhar Ki Hai Na Udhar Ki Adhar Ki Hai.
Haakim Hakeem Daad -O- Dawa Dein Ye Kuch Na Dein
Mardood Ye Muraad Kis Aayath Khabar Ki Hai.
Shakle Bashar Me Noore Ilaahi Agar Na Ho
Kya Qadr Uss Khameera -O- Maao Madar Ki Hai.
Noore Ilaahi Kya Hai Muhabbat Habeeb Ki
Jis Dil Me Ye Na Ho Wo Jagah Khoofo Khar Ki Hai.
Zikre Khuda Jo Unse Juda Chaaho Najdiyon
Wallah Zikre Haq Nahi Kunji Sakar Ki Hai.
Be Unke Waaste Ke Khuda Kuch Ataa Kare
Haasha Ghalat Ghalat Ye Hawas Be Basar Ki Hai.
Maqsood Ye Hai Aadam -O- Nooh -O- Khaleel Se
Tukhme Karam Me Saari Karamat Samar Ki Hai.
Unki Nabuwwat Unki Ubuwwat Hai Sabko Aam
Ummul Bashar Aroos Unhi Ke Pesar Ki Hai.
Zaahir Me Mere Phool Haqiqath Me Mere Nakhl
Uss Ghul Ki Yaad Me Ye Sada Bul Bashar Ki Hai
Pehle Ho Unki Yaad Me Paaye Jila Namaz
Ye Kehte Hain Azaan Jo Pichle Pahar Ki Hai.
Duniya Mazaar Hashr Jahaan Hai Ghafoor Hai
Har Manzil Apne Chand Ki Manzil Gafar Ki Hai.
Un Par Durood Jinko Hajar Tak Karein Salaam
Un Par Salaam Jinko Tahiyyath Shajar Ki Hai.
Un Par Durood Jinko Kase Bekasaan Kahein
Un Par Salaam Jinko Khabar Be Khabar Ki Hai.
Jinno Bashar Salaam Ko Haazir Hain Assalaam
Ye Bargaah Maalik -E- Jinno Bashar Ki Hai.
Shamso Qamar Salaam Ko Haazir Hain Assalaam
Khoobi Unhi Ki Jyoth Se Shamso Qamar Ki Hai.
Sab Behrobar Salaam Ko Haazir Hain Assalaam
Tamlik Unhi Ke Naam To Har Behrobar Ki Hai.
Sango Shajar Salaam Ko Haazir Hain Assalaam
Kalme Se Tar Zabaan Darkhto Hajar Ki Hai.
Arzo Asar Salaam Ko Haazir Hain Assalaam
Malja Ye Bargaah Dua -O- Asar Ki Hai.
Shorida Sar Salaam Ko Haazir Hain Assalaam
Rahat Unhi Ke Qadmon Me Shorida Sar Ki Hai.
Khasta Jigar Salaam Ko Haazir Hain Assalaam
Marham Yahin Ki Khaak To Khasta Jigar Ki Hai.
Sab Khushk -O- Tar Salaam Ko Haazir Hain Assalaam
Ye Jalwa Gaah Maalik -E- Har Khushk -O- Tar Ki Hai.
Sab Karro Farr Salaam Ko Haazir Hain Assalaam
Topi Yehi To Khaak Pe Har Karro Farr Ki Hai.
Ahle Nazar Salaam Ko Haazir Hain Assalaam
Ye Gard Hi To Surma Sab Ahle Nazar Ki Hai.
Aansu Baha Ke Behgaye Kaale Gunah Ke Dher
Haathi Dubaw Jheel Yahan Chashme Tar Ki Hai.
Teri Kaza Khalifa -E- Ahkaame Ziljalaal
Teri Raza Haleef Kazawo Kadar Ki Hai.
Ye Pyaari Pyaari Kyaari Tere Khaana Baagh Ki
Sard Isko Aabo Taab Se Aatash Safar Ki Hai.
Jannat Me Aake Naar Me Jaata Nahi Koi
Shukre Khuda Naweed Najaat -O- Zafar Ki Hai.
Momin Hoon Mominon Pe Rauf -Ur- Raheem Ho
Saail Hoon Saailon Ko Khushi Laa Nahar Ki Hai.
Daman Ka Waasta Mujhe Iss Dhoop Se Bacha
Mujhko To Shaak Jaadon Me Uss Dopahar Ki Hai.
Maa Dono Bhai Bete Batije Aziz Dost
Sab Tujhko Saunpe Milk Hi Sab Tere Ghar Ki Hai.
Jin Jin Muraadon Ke Liye Ahbaab Ne Kaha
Peshe Khabeer Kya Mujhe Haajat Khabar Ki Hai.
Fazle Khuda Se Ghaib -E- Shahadath Hua Unhein
Iss Par Shahadath Aayat -O- Wahi -O- Asar Ki Hai.
Kehna Na Kehne Waale The Jab Se Tu Ittela
Maula Ko Qaul -O- Qaail -O- Har Khushk -O- Tar Ki Hai.
Aage Rahi Ataa Wo Ba Qadre Talab To Kya
Aadat Yahan Ummeed Se Bhi Beshtar Ki Hai.
Be Maange Dene Waale Ki Naimath Me Gharq Hai
Maange Se Jo Mile Kise Fehm Iss Qadar Ki Hai.
Ahbaab Isse Badhke To Shayad Na Paaye Arz
Na Karda Arz Arz Ye Tarze Digar Ki Hai.
Dashte Haram Me Rehne De Sayyad Agar Tujhe
Mitti Aziz Bulbule Be Baalo Par Ki Hai.
Taufeeq De Ki Aage Na Paida Ho Khoo -E- Bad
Tabdeel Kar Jo Khaslate Bad Peshtar Ki Hai.
Ya Rab Raza Na Ahmade Paarina Hoke Jaaye
Ye Bargah Tere Habeebe Aabarar Ki Hai.
Aa Kuch Sunade Ishq Ke Bolon Me Aye Raza
Mustaq Tab'a Lazzate Soze Jigar Ki Hai.