Maula Ali Ka Pyaara Karbal Ko Jaraha Hai

Maula Ali Ka Pyaara Karbal Ko Jaraha Hai

Maula Ali Ka Pyaara Karbal Ko Jaraha Hai
Noore Nazar Nabi Ka Taiba Se Jaraha Hai.

Lelo Salaame Aakhir Ruqsath Mujhe Do Nana
Islam Ko Bachane Shabbir Jaraha Hai.

Jakar Baqih Me Bhi Amma Se Yoon Pukara
Ye Laadla Tumhara Iss Dar Se Jaraha Hai.

Ro Kar Pukare Nana Chut'ta Hai Ye Madina
Shabbir Ko Yehi Gham Aansu Rula Raha Hai.

Lete The Jis Gale Par Bose Nabi Muhammad
Uss Hi Gale Pe Dushman Khanjar Chala Raha Hai.

Matlab Ye Sar Kata Kar Asghar Ka Khoon Dekar
Shabbir Apne Nana Ka Deen Bacha Raha Hai.

Yousuf Bayan Kare Kya Karbal Ki Dastan Ko
Khulti Nahi Zabaan Aur Dil Kaamp Jaraha Hai.

More from Manqabat -E- Hz Imame Hussain A.S

  • Aag Si Dil Me Lagi Aankh Se Chalka Paani
  • Aa Ghame Shabbir Aa Seene Laga Kar Choomlun
  • Aaya Na Hoga Iss Tarah Rango Shabaab Reth Par
  • Akse Ruqe Rasool Hai Chehra Hussain Ka
  • Allah Ahle Baite Payambar Ke Saath Hai
  • Aye Khuda Naseebe Ko Aise Jagmaga Dena