Koi Guftagu Ho Lab Par

Koi Guftagu Ho Lab Par

Kalaam of Adeeb Raipuri Sahab

Koi Guftagu Ho Lab Par
Tera Naam Aagaya Hai
Teri Madha Karte Karte
Ye Maqaam Aagaya Hai.

Dare Mustafa Ka Manzar
Meri Chashme Tar Ke Andar
Kabhi Subho Aagaya Hai
Kabhi Shaam Aagaya Hai.

Ye Talab Thi Ambiya Ki
Rukhe Mustafa Ko Dekhen
Ye Namaz Ka Waseela
Unhe Kaam Aagaya Hai.

Jo Saqi Hain Duniya Bhar Ke
Wo Gada Hain Tere Dar Ke
Ke Karam Ka Unke Haathon
Me Nizam Aagaya Hai.

Do Jahan Ki Naimaton Se
Tere Dar Pe Jo Bhi Maanga
Mere Damane Talab Me
Wo Tamaam Aagaya Hai.

Aye Adeeb Jis Ne Mehshar
Me Bapa Kiya Hai Mehshar
Wo Kahein Ke Aao Dekho
Ye Ghulam Aagaya Hai.

More from Naat -E- Shareef

More kalaam of Adeeb Raipuri Sahab

  • Aaj Ashk Mere Naat Sunayein To Ajab Kya
  • Aouj Paana Mere Huzoor Ka Hai
  • Aaj Sik Mitran Di Wadheriye
  • Aankhon Ka Taara Naame Muhammad
  • Aansu Meri Aankhon Me Nahi Aaye Hue Hain
  • Aap Sa Dono Jahan Me Nazar Aaya Hi Nahi