Ham Apna Saara Sukhan Unke Naam Karte Hain
Ham Apna Saara Sukhan Unke Naam Karte Hain
Ham Apna Saara Sukhan Unke Naam Karte Hain
Wo Jinko Dekh Ke Patthar Kalaam Karte Hain.
Ticket Jahaaz Ka Visa Riyaal Raqte Safar
Huzoor Hi To Ye Sab Intezaam Karte Hain.
Jahan Pe Bazme Muhammad Sajaayi Jaati Hai
Wahan Pe Shab Ko Farishte Qiyaam Karte Hain.
Wo Kaam Koi Bhi Science Kar Nahi Sakti
Jo Kaam Aapke Adna Ghulam Karte Hain.
Huzoor Ek Nazar Ham Se Aasiyon Par Bhi
Hamare Ashk Tadap Kar Salaam Karte Hain.