Ishq Ke Rang Me Rang Jaao Mere Yaar
Ishq Ke Rang Me Rang Jaao Mere Yaar
Kalaam of Adeeb Raipuri Sahab
Ishq Ke Rang Me Rang Jaayein Jab Afkaar To Khulte Hai Ghulamon Pe Wo Asraar Ke Rehte Hain Wo Tauseefo Sanaaye Shahe Abraar Me Har Lehza Gauhar Baar.
Warna Wo Sayyide Aali Nasabi Haan Wohi Ummi Laqabi Hashmi -O- Muttalibi -O- Arabi -O- Qarashi -O- Madani Aur Kahan Ham Se Gunahgaar.
Aarzoo Ye Hai Ke Ho Qalb Muattar Wo Mutahhar Wo Munawwar Wo Musaffa Wo Mujalla Dure Aala Jo Nazar Aayein Kahin Jalwaye Rooe Shahe Abraar
Jinke Qadmon Ki Chamak Chand Sitaron Me Nazar Aaye Jidhar Se Wo Guzar Jaaye Wohi Raah Chamak Jaaye Damak Jaaye Mehek Jaaye Bane Raunaqe Gulzaar.
Wara Fa'na Laka Zikrak Ki Iss Aaya -E- Tawseef Ki Tawseef Me Tafseer Me Tashreekh Me Tawzeeh Me Tazneen Me Har Ehd Ki Shaamil Hai Zabaan
Labe Hassan -O- Rawahaa Wo Labe Fatima Zahra -O- Ali Aabide Beemar Busairi Dahane Urtiyo Jaami Labe Saadi -O- Raza Sab Sarshaar.
Soongh Loon Khusbu -E- Gesu -E- Muhammad Wo Siyah Zulf Nahi Jiske Muqabil Ye Banafsha Ye Suyoonti Ye Chameli Ye Gule Lalaa -O- Champaa Ka Nikhaar
Jiski Nik'hat Pe Hai Qurban Gulo Bargo Saman Naaze Chaman Naafa -E- Aahu -E- Khutan Baade Chaman Boo -E- Chaman Naaze Chaman Noore Chaman Range Chaman Saara Chaman Zaar.
Ek Shahinshah Ne Baqshe Jo Samarkhand -O- Bukhara Kisi Mehboob Ke Ruqsaar Ke Til Par Magar Aye Sayyade Aalam Teri Namoos Teri Azmath Par
Aye Rasoole Madani Ek Nahi Laakhon Hain Qurban Gahe Ishq Ke Har Koocha -O- Bazaar Me Sar Apna Hatheli Pe Liye Phirte Hain Karne Ko Nisaar.
Ya Nabi Aapka Ye Adna Sana Khwan Dare Rehmath Ka Gada Deta Hai Dar Dar Ye Sada Deta Hai Aur Aapse Chahat Ka Sila Apni Zubaan Me Taseer
Sunke Sab Ahle Chaman Uska Sukhan Unko Bhi Aajaye Hayaa Sar Ho Nadamat Se Jhuka Aur Nazar Dekhe Wo Aslaaf Ki Ulfath Ka Nazara Ek Baar.
Ishq Ke Rang Me Rang Jaayein Muhajir Ho Ke Pakhtoon -O- Balochi Ho Ke Punjabi Ke Gujrati Ke Maiman Ho Ke Hindi Ho Ke Sindhi Kisi Khitte Ki Qabile Ki Zabaan Isse Nahi Koi Sarokaar
Jaama -E- Ishqe Muhammad Jo Pehen Leta Hai Har Khwaar Ko Wo Phool Bana Leta Hai Duniya Ko Jhuka Leta Hai Karta Hai Zamane Ko Muhabbat Ka Shikaar.
Aye Adeeb Ab Yunhi Alfaaz Ke Ambaar Me Ham Doobte Rehjayein Magar Haqqe Sana Koi Adaa Phir Bhi Na Kar Paayein Ye Jazbaat -O- Zabaan -O- Qalam -O- Fikr -O- Khayaal
Unki Midhat To Malaik Ka Wazifa Hai Sahaba Ka Tareeqa Hai Ibadath Ka Saleeqa Hai Ye Khaliq Ka Pasandida Hai Quran Ka Isme Shi'aar.