Gumbade Khazra Dekh Ke Aisa Lagta Hai

Gumbade Khazra Dekh Ke Aisa Lagta Hai

Kalaam of Haroon

Gumbade Khazra Dekh Ke Aisa Lagta Hai
Jaise Ek Pyaase Ko Dariya Lagta Hai.

Shehre Madina Ki Galiyon Ka Patthar Bhi
Ham Ko Ek Anmol Nageena Lagta Hai.

Pyaara Hai Jo Pyaare Nabi Ke Pyaaron Ka
Ham Ko Apni Jaan Se Pyaara Lagta Hai.

Taare Hain Zarraat Nabi Ki Galiyon Ke
Chand Nabi Ka Naqshe Kafe Paa Lagta Hai.

Naame Muhammad Jab Se Likha Hai Kashti Par
Ham Ko Har Toofan Kinara Lagta Hai.

Fazle Khuda Se Ishqe Nabi Ki Khusbu Se
Haroon Ka Ghar Mehka Mehka Lagta Hai.

Dono Farishte Hogaye Rukhsat Ye Kehkar
Sone Do Aaqa Ka Deewana Lagta Hai.