Aaqa Aaqa Bol Bande Aaqa Aaqa Bol

Aaqa Aaqa Bol Bande Aaqa Aaqa Bol

Aaqa Aaqa Bol Bande Aaqa Aaqa Bol
Zikre Nabi Tu Karta Jaa Ye Zikr Bada Anmol.

Aisa Din Bhi Aajaye Sarkar Ke Dar Pe Baithe Hon
Lab Khamosh Zubaan Banjaye Aansu Arza Karte Hon
Unke Dar Pe Rone Waale Dil Se Kuch To Bol.

Sarware Aalam Pyaare Aaqa Jidhar Se Guzra Karte The
Shajr Gawahi Deta Tha Aur Patthar Kalma Padhte The
Noore Khuda Ke Munkir Ab To Apni Aankhein Khol.

Aao Chalo Deewanon Saare Shehre Madina Chalte Hain
Meri Kya Auqaat Hai Sab Hi Unke Dar Se Palte Hain
Ghairon Ko Bhi Dete Hain Wo Bin Maange Bin Mol.

Jab Se Hosh Sambhala Hai Mai Unki Naatein Padhta Hoon
Gustakhi Na Hojaye Mai Sambhal Sambhal Ke Chalta Hoon
Maa Ki Duaon Ka Sadqa Hai Aisa Mila Mahol.

Rashid Naatein Likhna Padhna Ye Hai Bada Aizaaz
Unke Karam Ke Sadqe Hi Se Unchi Hai Parwaaz
Naate Nabi Tu Sunaaye Jaa Aur Kaanon Me Ras Ghol.

More from Naat -E- Shareef

  • Aaj Ashk Mere Naat Sunayein To Ajab Kya
  • Aouj Paana Mere Huzoor Ka Hai
  • Aaj Sik Mitran Di Wadheriye
  • Aankhon Ka Taara Naame Muhammad
  • Aansu Meri Aankhon Me Nahi Aaye Hue Hain
  • Aap Sa Dono Jahan Me Nazar Aaya Hi Nahi