Taajdare Haram Ho Nigahe Karam

Taajdare Haram Ho Nigahe Karam

Kalaam of Payaam Saihalwi Sahab

Saba Tahaiyyate Shauqam Ba Aan Janaab Rasaan
Hadeese Zarraye Miskeen Ba Aaftab Rasaan
Tora Maqaam Ke Aaram Gaahe Aqdase Oost
Zameen Bi Bos -O- Salaame Mane Kharaab Rasaan

Qismat Me Meri Chain Se Jeena Likhde
Doobe Na Kabhi Mera Safina Likhde
Jannat Bhi Gawara Hai Magar Mere Liye
Aye Kaatibe Taqdeer Madina Likhde.

Mai Saail Hoon Meri Auqaat Hai
Tum Aaqa Ho Tumhari Baat Kya Hai.

Taajdare Haram Ho Nigahe Karam
Ham Ghareebon Ke Din Bhi Sawar Jayeinge
Haadiye Bekasaan Kya Kahega Jahan
Aapke Dar Se Khaali Agar Jayeinge.

Girah...
Chashme Rehmath Ba Kusha Sooe Malandaaze Nazar
Aye Quraishi Laqabi Hashmi -O- Muttalabi.

Ya Rasoolallah Ba Ahwaale Kharaabe Maa Bi Been
Roo Ba Khaak Uftaada Am Az Sharme Isiyaan Bar Zameen
Muznabe Choon Man Na Bashad Dar Tamaami Ummataat
Rehm Kun Bar Haale Maa Ya Rahmatallil Aalameen.

Ka Tumse Kahun Aye Rab Ke Kuwwar
Tum Jaanath Ho Man Ki Battiyan
Dar Furqat -E- To Aye Ummi Laqab
Kaate Na Katath Hai Ab Rattiyan
Tori Preeth Me Sudh Budh Sab Bisri
Kab Tak Ye Rahegi Be Khabri
Gaahe Ba Figan Duzdeeda Nazar
Kabhi Sun Bhi To Lo Hamri Battiyan.

Kehna Saba Huzoor Se Kehta Hai Ek Ghulam
Bas Ek Nazar Ho Ek Nazar Ka Sawaal Hai.

Ya Mustafa Salle Alaa
Ya Mustafa Salle Alaa

Phir Gudriyon Ko Laal De
Jaan Pattharon Me Daal De
Haawi Ho Mustaqbil Pe Ham
Maazi Sa Ham Ko Haal De

Daawa Hai Teri Chaah Ka
Iss Ummate Gumrah Ka
Tere Siwa Koi Nahi
Ya Rahmatallil Aalameen.

Ya Mustafa Ya Mujtaba Irhamlana Irhamlana
Daste Hama Bechara Ra Damaan Tui Damaan Tui
Man Aasiyam Man Aajizam Man Bekasam Haale Mara
Ya Shafaye Rauze Jaza Pursaan Tui Pursaan Tui

Aye Mushkbez Ambar Fishaan
Paike Naseem -E- Subha Dam
Aye Chaaragar Isaa Nafas
Aye Monis -E- Beemare Gham
Aye Qaaside Furkhanda Pae
Tujhko Usi Gul Ki Qasam
Inniltiya Rihassaba
Yauman Ilaa Arzil Haram
Balligh Salaami Rauzatan
Feehan Nabiyyul Muhtaram.

Chorus...

Sher...
Koi Apna Nahi Gham Ke Maare Hain Ham
Aapke Dar Pe Fariyad Laaye Hain Ham
Ho Nigaahe Karam Warna Chaukhat Pe Ham
Aapka Naam Le Le Ke Mar Jayeinge.

Maikashon Aao Aao Madine Chalo
Dar Pe Saaqiye Kausar Ke Peene Chalo
Yaad Rakho Agar Uthgayi Wo Nazar
Jitne Khaali Hai Sab Jaam Bhar Jayeinge.

Girah...
Dukh Ranjo Alam Sab Kat'te Hain
Hasnain Ke Sadqe Bat'te Hain.

Jab Saal Ke Qareeb Mahine Pohonch Gaye
Jadde Me Aashiqon Ke Safine Pohonch Gaye
Jinko Talab Kiya Hai Madine Pohonch Gaye
Pyaase The Ek Saal Ke Peene Pohonch Gaye

Tajalliyon Ki Ajab Hai Fiza Madine Me
Nigaahe Shouq Ki Hai Inteha Madine Me
Ghame Hayaath Na Khaufe Qaza Madine Me
Namaze Ishq Kareinge Adaa Madine Me
Idhar Udhar Na Bhatakte Phiro Khuda Ke Liye
Baraahe Raast Hai Raahe Khuda Madine Me.

Sher...
Khaufe Toofan Hai Bijliyon Ka Hai Gham
Saqt Mushkil Hai Aaqa Kahan Jaayen Ham
Aap Bhi Gar Na Lenge Hamari Khabar
Ham Musibat Ke Maare Kidhar Jayeinge.

Aapke Dar Se Koi Na Khaali Gaya
Apne Daman Ko Bhar Ke Sawali Gaya
Ho Payaame Hazeen Par Bhi Aaqa Karam
Warna Auraaqe Hasti Bikhar Jayeinge.

More from Naat -E- Shareef

More kalaam of Payaam Saihalwi Sahab

  • Aaj Ashk Mere Naat Sunayein To Ajab Kya
  • Aouj Paana Mere Huzoor Ka Hai
  • Aaj Sik Mitran Di Wadheriye
  • Aankhon Ka Taara Naame Muhammad
  • Aansu Meri Aankhon Me Nahi Aaye Hue Hain
  • Aap Sa Dono Jahan Me Nazar Aaya Hi Nahi