Na Ho Mehroom Le Jo Dil Se Naame Shaahe Jeelani
Na Ho Mehroom Le Jo Dil Se Naame Shaahe Jeelani
Kalaam of Hazrath Chand Pasha (Mohi) R.a
Na Ho Mehroom Le Jo Dil Se Naame Shaahe Jeelani
Ajab Hai Baargahe Faize Aam -E- Shaahe Jeelani.
Hamesha Mast -O- Makhmoor -E- Sharabe Shouq Rehta Hoon
Pilaya Peer Ne Jab Se Ke Jaame Shaahe Jeelani.
Gharaz Zuhd -O- Riyazath Se Na Zikr Azkaar Se Matlab
Rata Karta Hoon Subho Shaam Naame Shaahe Jeelani.
"Maqaami Fauqakum Maazaa La Aali" Se Huweda Hai
Uluwwe Martabat Aali Maqaame Shaahe Jeelani.
Mohi Mehshar Ka Ab Khatka Raha Baaqi Na Marqad Ka
Azal Se Hochuka Hoon Mai Gadaye Shaahe Jeelani.