Taadaar -E- Auliya Ya Ghouse -E- Aazam Aap Hain
Taadaar -E- Auliya Ya Ghouse -E- Aazam Aap Hain
Kalaam of Hazrath Ghousi Shah R.a
Taadaar -E- Auliya Ya Ghouse -E- Aazam Aap Hain
Iftekhar -E- Ambiya Ya Ghouse -E- Aazam Aap Hain.
Mohiuddin Sare Halqa -O- Ahle Baseerat Aap Hain
Haadi -E- Raahe Safa Ya Ghouse -E- Aazam Aap Hain.
Mazhare Rabbe Qadeer -O- Noore Khaas -E- Mustafa
Aayate Haq Barmala Ya Ghouse -E- Aazam Aap Hain.
Haamil -E- Asraare Deen Mehboobe Rabbul Aalameen
Kashif -E- Sirre Khuda Ya Ghouse -E- Aazam Aap Hain.
Khud Se Faani Haq Se Baaqi Hain Sarapa Haq Numa
Rooe Haq Ka Aayina Ya Ghouse -E- Aazam Aap Hain.
Shakl Me Goya Ali Seerat Me Hain Goya Nabi
Waah Kya Salle Alaa Ya Ghouse -E- Aazam Aap Hain.
Isteqamat Aur Karamat Kashf Aur Ilhaam Me
Ek Sarapa Maujza Ya Ghouse -E- Aazam Aap Hain.
Kardiya Kitnon Ko Tumne Haq Numa Aur Ba Khuda
Kaise Pyaare Haq Numa Ya Ghouse -E- Aazam Aap Hain.
Aapka Faizaan Jaari Hi Rahega Hashr Tak
Noore Shaahe Do Sara Ya Ghouse -E- Aazam Aap Hain.
Haami -E- Ahle Baseerat Dastageer -E- Aajizaan
Mazhare Rabbul Ulaa Ya Ghouse -E- Aazam Aap Hain.
Range Quran Me Numayaan Hai Haqaaiq Ka Bayaan
Aaj Kuch Ghousi Numa Ya Ghouse -E- Aazam Aap Hain.