Ya Shahe Behrobar Ho Karam Ki Nazar
Ya Shahe Behrobar Ho Karam Ki Nazar
Kalaam of Muhammad Ali Zahoori Sahab
Ya Shahe Behrobar Ho Karam Ki Nazar
Sab Ki Bigdi Banana Tera Kaam Hai
Thokarein Kha Ke Girna Mera Kaam Hai
Har Qadam Par Uthana Tera Kaam Hai.
Tere Qadmon Me Aana Mera Kaam Hai
Meri Qismat Jagana Tera Kaam Hai
Meri Aankhon Ko Hai Deed Ki Aarzu
Rukh Se Parda Uthana Tera Kaam Hai.
Teri Chaukhat Kahan Aur Kahan Ye Jabeen
Tere Faize Karam Ki To Had Hi Nahi
Jin Ko Duniya Me Koi Na Apna Kahe
Unko Apna Banana Tera Kaam Hai.
Mere Dil Me Teri Yaad Ka Raaj Hai
Zehn Tere Tasawwur Ka Mohtaj Hai
Ek Nigaahe Karam Hi Meri Laaj Hai
Laaj Meri Nibhana Tera Kaam Hai.
Aakhri Waqt Ho Tere Beemar Ka
Ek Qatra Mile Jaame Deedar Ka
Aakhri Mere Dil Ki Hai Hasrath Yehi
Ab Ye Hasrath Mitana Tera Kaam Hai.
Tosha -E- Aakhirat Hai Sana Khwan Ka
Zikr Karta Rahe Tere Faizan Ka
Naat Teri Sunana Mera Kaam Hai
Meri Bigdi Banana Tera Kaam Hai.
Mere Dil Ka Sukoon Mere Dil Ki Sada
Aye Zahoori Sana -E- Habeebe Khuda
Ye Sada -E- Aqidath Aye Baade Saba
Jaake Unko Sunana Tera Kaam Hai.