Bayaan Kya Shaan Ho Shere Khuda Ki
Bayaan Kya Shaan Ho Shere Khuda Ki
Kalaam of Ameer Sabri Sahab
Bayaan Kya Shaan Ho Shere Khuda Ki
Ye Bazme Paak Hai Mushkil Kusha Ki.
Nabi Ka Jisme At'har Jisme Haidar
Ye Nisbath Hai Ali Se Mustafa Ki.
Shuja'ath Aur Sakhawat Aur Wilayath
Ye Daulat Hai Ali -E- Murtaza Ki.
Ali Hain Shaahe Mardaan Shere Yazdaan
Hai Quwwat Baazu -E- Daste Khuda Ki.
Gadaon Ko Shahinshah Karrahe Hain
Rawaani Dekhiye Behre Sakha Ki.
Khuda Ke Ghar Ko Zeenat Baqshdi Hai
Wiladath Ne Ali Shere Khuda Ki.
Rasaayi Hai Makaan Se Laa Makaan Tak
Ali Ke Dar Ke Adna Se Gada Ki.
Ali Ke Laal Ke Faize Qadam Se
Zameen Hai Arshe Aazam Karbala Ki.
Tufaile Panjatan Maqbool Hogi
Ameer -E- Sabri Jo Jo Dua Ki.