Ham Khata Baar Baar Karte Hain
Ham Khata Baar Baar Karte Hain
Kalaam of Naseer Uddin Bismil Sahab
Ham Khata Baar Baar Karte Hain
Wo Ataa Baar Baar Karte Hain.
Ham Liya Baar Baar Karte Hain
Wo Diya Baar Baar Karte Hain.
Ya Habeebi Muhammade Arabi
Ye Sada Baar Baar Karte Hain.
Apne Qadmon Me Wo Bulalein Hamein
Ilteja Baar Baar Karte Hain.
Etella Unke Aane Ki Sab Ko
Ambiya Baar Baar Karte Hain.
Unka Quran Me Wo Azzawajal
Tazkira Baar Baar Karte Hain.
Shaane Rifath Me Unki Rabbe Kareem
Irtiqaa Baar Baar Karte Hain.
Ummati Unke Hain Ye Shukre Khuda
Ham Adaa Baar Baar Karte Hain.
Zikre Paake Rasool Har Do Sara
Haq Rasa Baar Baar Karte Hain.
Wirde Asmaa -E- Mustafa Ham Log
Marhaba Baar Baar Karte Hain.
Wo Nazar Aayein Jis Taraf Dekhein
Ye Dua Baar Baar Karte Hain.
Yaad Unko Ye Bekas -O- Mazloom
Benawa Baar Baar Karte Hain.
Tere Mehboob Ki Sana Ham Log
Ya Khuda Baar Baar Karte Hain.
Kamraan Hain Wo Jaan -O- Dil Unpar
Jo Fida Baar Baar Karte Hain.
Apni Ummat Ki Maghfirath Ki Dua
Mustafa Baar Baar Karte Hain.
Mehfile Naate Mustafa Bismil
Ham Khusha Baar Baar Karte Hain.