Muqaddar Ko Mere Baqshi Gayi Rehmath Ki Tabaani
Muqaddar Ko Mere Baqshi Gayi Rehmath Ki Tabaani
Kalaam of Muhammad Ali Zahoori Sahab
Muqaddar Ko Mere Baqshi Gayi Rehmath Ki Tabaani
Mere Hisse Me Aayi Hai Muhammad Ki Sana Khwani.
Muhabbat Sarware Kaunain Ki Jis Dil Ko Haasil Ho
Use Hogi Na Roze Hashr Koi Bhi Pareshani.
Zamana Taa Abad Jhukta Rahega Unke Qadmon Me
Jinhein Haasil Hui Hai Daaiye Bat'ha Ki Darbani.
Arab Ki Azmatein Allahu Akbar Aapke Dam Se
Hui Sehra Nasheenon Ke Muqaddar Bhi Jahanbani.
Nabi Ko Noor Kehna To Ek Adna Si Aqidath Hai
Jahan Zikre Muhammad Ho Wo Saari Bazm Noorani.
Kabhi To Kehke Mastana Zahoori Ko Bulayeinge
Kabhi To Kaam Aajayegi Meri Chaak Damaani.