Taiba Ki Hai Yaad Aayi Ab Ashk Bahane Do
Taiba Ki Hai Yaad Aayi Ab Ashk Bahane Do
Kalaam of Saaim Chishti Sahab
Taiba Ki Hai Yaad Aayi Ab Ashk Bahane Do
Mehboob Ne Aana Hai Raahon Ko Sajane Do.
Mai Teri Ziyarath Ke Qabil To Nahi Maana
Yaadon Ko Shaha Apne Khwabon Me To Aane Do.
Lagta Nahi Dil Mera Ab In Veeranon Me
Chota Sa Ghar Mujhko Taiba Me Banane Do.
Roko Na Mujhe Ab To Dare Yaar Ke Darbanon
Mehboob Ki Jaali Ko Seene Se Lagane Do.
Ashkon Ki Ladi Koi Ab Tootne Mat Dena
Aaqa Ke Liye Mujhko Ek Haar Banane Do.
Sarkar Ke Qabil Ye Alfaaz Kahan Saaim
Ashkon Ki Zabaan Se Ab Ek Naat Sunane Do.