Tum Ho Khaibar Shikan Tum Ho Shere Khuda

Tum Ho Khaibar Shikan Tum Ho Shere Khuda

Kalaam of Amjad Hyderabadi Sahab

Tum Ho Khaibar Shikan Tum Ho Shere Khuda
Ya Ali Murtaza Ya Ali Murtaza
Tum Ho Maula Ali Tum Ho Mushkil Kusha
Ya Ali Murtaza Ya Ali Murtaza.

Allah Allah Tumhari Bhi Kya Shaan Hai
Mai To Kya Aql -E- Awwal Bhi Hairaan Hai
Tum Ho Shere Khuda Tum Ho Daste Khuda
Ya Ali Murtaza Ya Ali Murtaza.

Badshaahe Do Aalam Ke Bhaai Ho Tum
Haq To Ye Hai Ke Haq Ke Fidaayi Ho Tum
Wo Nabi Mustafa Tum Ali Murtaza
Ya Ali Murtaza Ya Ali Murtaza.

Shaahe Mardaan Ho Tum Shere Yazdaan Ho Tum
Mera Imaan Ho Tum Mera Quran Ho Tum
Sahibe Zulfiqaar -O- Shahe Laa Fatah
Ya Ali Murtaza Ya Ali Murtaza.

"Yut'imoonat Ta'aama Alaa Hubbihi"
Haq Ne Farmaya Hai Aapki Shaan Me
Dijiye Sadqa Hamko Bhi Hasnain Ka
Ya Ali Murtaza Ya Ali Murtaza.

Deen -O- Duniya Ke Kab Tak Sahe Ranjo Gham
Apne Amjad Pe Bhi Ek Nigaahe Karam
Hai Karam Aapka Dafaye Har Balaa
Ya Ali Murtaza Ya Ali Murtaza.

More from Manqabat -E- Maula -E- Kayenath A.S

More kalaam of Amjad Hyderabadi Sahab

  • Ab Lagan Sirf Ali Hain Ya Ali Ke Bete
  • Ajmer Chal Ke Dekho Rutba Ali Ke Ghar Ka
  • Ahle Nazar Ki Aankh Ka Taara Ali Ali
  • Ali Ali Ho Ali Ali Ho
  • Ali Ke Chahne Waale  Ali Ka Wasf Paida Kar
  • Ali Nu Yaad Karo Ral Ke Fariyaad Karo