Mai Behek Sakoon Ye Majaal Kya
Mai Behek Sakoon Ye Majaal Kya
Mai Behek Sakoon Ye Majaal Kya
Mera Rehnuma Koi Aur Hai
Mujhe Khoob Jaanlein Manzilein
Ke Shikasta Paa Koi Aur Hai.
Jo Tumhari Jaan Se Mu'tasil
Hai Sutoon Ke Peeche Khajil Khajil
Nahi Mai Nahi Wo Mareeze Dil
Na Mere Siwa Koi Aur Hai.
Meri Ilteja Hai Ye Doston
Kabhi Tum Jo Sooe Haram Chalo
To Bana Ke Sar Ko Qadam Chalo
Ke Ye Raasta Koi Aur Hai.
Hai Tujhe Khabar Shahe Een –O- Aan
Meri Wajhe Rahate Qalb –O- Jaan
Na Tere Siwa Koi Aur Tha
Na Tere Siwa Koi Aur Hai.
Ye Gumaan Tha Kayi Saal Se
Ye Yaqeen Hai Kayi Roz Se
Mere Dil Se Gumbade Sabz Ka
Ye Muamla Koi Aur Hai.
Wo Habeebe Rabbe Kareem Hai
Wo Rauf Hai Wo Raheem Hai
Inhein Fikr Hai Meri Aapki
Inhein Chaahta Koi Aur Hai.
Mai Jo Door Arze Haram Se Tha
Hui Khuld –E- Goshe Haseen Sada
Hai Isi Me Majid –E- Be Nawa
Ke Ye Khafila Koi Aur Hai.